phul KHushbu sabz manzar bolte hain
phuul ḳhushbū sabz manzar bolte haiñ
ho agar ehsās patthar bolte haiñ
ret sīpoñ se samundar bolte haiñ
ye sadāoñ ke shanāvar bolte haiñ
ḳhaak meñ haiñ shaan shaukat ke amiiñ ab
ujḌe mahloñ ke kabūtar bolte haiñ
be-hisī duniyā meñ itnī baḌh ga.ī hai
darmiyāñ apnoñ ke ḳhanjar bolte haiñ
maut ke saa.e kā rāhib ḳhauf kyā hai
pāsdār-e-sach barābar bolte haiñ
phul KHushbu sabz manzar bolte hain
ho agar ehsas patthar bolte hain
ret sipon se samundar bolte hain
ye sadaon ke shanawar bolte hain
KHak mein hain shan shaukat ke amin ab
ujDe mahlon ke kabutar bolte hain
be-hisi duniya mein itni baDh gai hai
darmiyan apnon ke KHanjar bolte hain
maut ke sae ka rahib KHauf kya hai
pasdar-e-sach barabar bolte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.