phul KHushbu ya hawa hai fikr ki dahliz par
phuul ḳhushbū yā havā hai fikr kī dahlīz par
kaun dastak de rahā hai fikr kī dahlīz par
kashtiyāñ maujoñ se laḌ kar paar kab kī ho ga.iiñ
nāḳhudā ab tak khaḌā hai fikr kī dahlīz par
aaj phir maazī kī dhun par raqs hogā bazm meñ
aaj phir se ratjagā hai fikr kī dahlīz par
tum ne mujh ko ishq meñ ik din masīhā kyā kahā
dard kā jamghaT lagā hai fikr kī dahlīz par
lafz-o-ma.anī ke parindo shor itnā mat karo
ek aañsū so rahā hai fikr kī dahlīz par
ho rahī hai ruuh tak ik raushnī tahlīl sī
kyā kisī kā dil jalā hai fikr kī dahlīz par
shart thī har ek lab par mohr-e-ḳhāmoshī to phir
hashr sā kyūñkar bapā hai fikr kī dahlīz par
chāñd taare kahkashāñ raushan falak jugnū charāġh
shams bhī aakar paḌā hai fikr kī dahlīz par
ishq meñ aisā bhī maiñ ne vaqt dekhā hai 'shikhā'
zaḳhm ḳhud marham huā hai fikr kī dahlīz par
phul KHushbu ya hawa hai fikr ki dahliz par
kaun dastak de raha hai fikr ki dahliz par
kashtiyan maujon se laD kar par kab ki ho gain
naKHuda ab tak khaDa hai fikr ki dahliz par
aaj phir mazi ki dhun par raqs hoga bazm mein
aaj phir se ratjaga hai fikr ki dahliz par
tum ne mujh ko ishq mein ek din masiha kya kaha
dard ka jamghaT laga hai fikr ki dahliz par
lafz-o-mani ke parindo shor itna mat karo
ek aansu so raha hai fikr ki dahliz par
ho rahi hai ruh tak ek raushni tahlil si
kya kisi ka dil jala hai fikr ki dahliz par
shart thi har ek lab par mohr-e-KHamoshi to phir
hashr sa kyunkar bapa hai fikr ki dahliz par
chand tare kahkashan raushan falak jugnu charagh
shams bhi aakar paDa hai fikr ki dahliz par
ishq mein aisa bhi main ne waqt dekha hai 'shikha'
zaKHm KHud marham hua hai fikr ki dahliz par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.