phul ki baaten karo ya Khaar ki baaten karo
phuul kī bāteñ karo yā ḳhaar kī bāteñ karo
gulsitāñ vaalo magar me'yār kī bāteñ karo
ahl-e-‘ālam ġhuncha-o-gul ke fasāne chhoḌ do
hai agar himmat to baḌh kar daar kī bāteñ karo
nāseho zikr-e-rah-e-dair-o-haram be-faiz hai
merā dil kahtā hai kū-e-yār kī bāteñ karo
āshiyāñ kā sehn-e-gulshan kā ravish kā zikr kyā
aaj to sayyād kī raftār kī bāteñ karo
ahl-e-sāhil zikr-e-sāhil se to jī uktā gayā
sharh tūfāñ kī karo mañjdhār kī bāteñ karo
sun rahā huuñ der se mashq-e-jafā kī dāstāñ
kaash yūñhī tum mire īsār kī bāteñ karo
dil dhaḌak uThtā hai ho jaatā hai barham nazm-e-hosh
jab kabhī un ke lab-o-ruḳhsār kī bāteñ karo
kis ne 'ishrat' kah diyā ye shā'irī āsān hai
pahle sīkho nasr phir ash'ār kī bāteñ karo
phul ki baaten karo ya KHar ki baaten karo
gulsitan walo magar me'yar ki baaten karo
ahl-e-‘alam ghuncha-o-gul ke fasane chhoD do
hai agar himmat to baDh kar dar ki baaten karo
naseho zikr-e-rah-e-dair-o-haram be-faiz hai
mera dil kahta hai ku-e-yar ki baaten karo
aashiyan ka sehn-e-gulshan ka rawish ka zikr kya
aaj to sayyaad ki raftar ki baaten karo
ahl-e-sahil zikr-e-sahil se to ji ukta gaya
sharh tufan ki karo manjdhaar ki baaten karo
sun raha hun der se mashq-e-jafa ki dastan
kash yunhi tum mere isar ki baaten karo
dil dhaDak uThta hai ho jata hai barham nazm-e-hosh
jab kabhi un ke lab-o-ruKHsar ki baaten karo
kis ne 'ishrat' kah diya ye sha'iri aasan hai
pahle sikho nasr phir ash'ar ki baaten karo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.