phul ki tarh mahakte rahiye
phuul kī tarh mahakte rahiye
ḳhaar kī tarh khaTakte rahiye
ho chukā ḳhatm safar paanī kā
ab ḳhalāoñ meñ bhaTakte rahiye
jaan jab tak hai badan meñ baaqī
ġham kī suulī pe laTakte rahiye
tez āñdhī hai to shāḳhoñ kī tarah
tez āñdhī meñ lachakte rahiye
rang bharnā hai agar phūloñ meñ
ḳhuun phūloñ pe chhiḌakte rahiye
yaad kar ke use tanhā.ī meñ
rāt-bhar 'barq' sisakte rahiye
phul ki tarh mahakte rahiye
KHar ki tarh khaTakte rahiye
ho chuka KHatm safar pani ka
ab KHalaon mein bhaTakte rahiye
jaan jab tak hai badan mein baqi
gham ki suli pe laTakte rahiye
tez aandhi hai to shaKHon ki tarah
tez aandhi mein lachakte rahiye
rang bharna hai agar phulon mein
KHun phulon pe chhiDakte rahiye
yaad kar ke use tanhai mein
raat-bhar 'barq' sisakte rahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.