phul kis haal mein hain aur saba kaisi hai
phuul kis haal meñ haiñ aur sabā kaisī hai
kuchh batāo mujhe gulshan kī fazā kaisī hai
pahle jaisā hai ki badlā hai bahāroñ kā mizāj
ġhuncha-o-gul ke mahakne kī adā kaisī hai
mauj-e-dariyā kī tarab-ḳhez adā hai ki nahīñ
aur kohsār kī badmast ghaTā kaisī hai
kyā hujūm aaj bhī jalvoñ kā hai pahle jaisā
shahr-o-bāzār kī rangīn fazā kaisī hai
kyā lahū aaj bhī rotī haiñ sulagtī āñkheñ
ab tire shahr meñ tauqīr-e-vafā kaisī hai
phul kis haal mein hain aur saba kaisi hai
kuchh batao mujhe gulshan ki faza kaisi hai
pahle jaisa hai ki badla hai bahaaron ka mizaj
ghuncha-o-gul ke mahakne ki ada kaisi hai
mauj-e-dariya ki tarab-KHez ada hai ki nahin
aur kohsar ki badmast ghaTa kaisi hai
kya hujum aaj bhi jalwon ka hai pahle jaisa
shahr-o-bazar ki rangin faza kaisi hai
kya lahu aaj bhi roti hain sulagti aankhen
ab tere shahr mein tauqir-e-wafa kaisi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.