phul ko aag duaon ko saza bhi kah dun
phuul ko aag duāoñ ko sazā bhī kah duuñ
aap kī zid hai to achchhoñ ko burā bhī kah duuñ
kam se kam itnā salīqa to milā sajdoñ se
koī me.aar pe utre to ḳhudā bhī kah duuñ
in zabānoñ kī to āvāz hī ghuT jaatī hai
dil agar bol rahā ho to sadā bhī kah duuñ
yuuñ to ik umr guzārī hai namak-dānoñ meñ
phuul zaḳhmoñ se jo barseñ to shifā bhī kah duuñ
āsmāñ saaf nazar aatā hai ghar kī chhat se
aise manzar ko na kyoñ arz-o-samā bhī kah duuñ
sabhī bāzār meñ lāThī pe khaḌe milte haiñ
koī chhoTā to mile jis ko baḌā bhī kah duuñ
āj-kal shahr meñ ye aam kahāvat hai 'riyāz'
jis ko īmān kahūñ us ko ḳhatā bhī kah duuñ
phul ko aag duaon ko saza bhi kah dun
aap ki zid hai to achchhon ko bura bhi kah dun
kam se kam itna saliqa to mila sajdon se
koi mear pe utre to KHuda bhi kah dun
in zabanon ki to aawaz hi ghuT jati hai
dil agar bol raha ho to sada bhi kah dun
yun to ek umr guzari hai namak-danon mein
phul zaKHmon se jo barsen to shifa bhi kah dun
aasman saf nazar aata hai ghar ki chhat se
aise manzar ko na kyon arz-o-sama bhi kah dun
sabhi bazar mein laThi pe khaDe milte hain
koi chhoTa to mile jis ko baDa bhi kah dun
aaj-kal shahr mein ye aam kahawat hai 'riyaz'
jis ko iman kahun us ko KHata bhi kah dun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.