phul ko wo aa rahe the chum kar
phuul ko vo aa rahe the chuum kar
chal rahe the is liye to jhuum kar
aap sā koī hasīñ paayā nahīñ
dekh aa.e ham zamāna ghuum kar
aur logoñ kī bhī hamdardī sameT
aur apnī shakl ko ma.asūm kar
tū samajhtā hai ki ye āsān haiñ
ishq ke raste zarā ma.alūm kar
ishq meñ lāzim nahīñ ki vasl ho
mat inheñ yuuñ lāzim-o-malzūm kar
'zeb' shā.ir hai to lāzim hai tujhe
āshiqī ko apnī tū manzūm kar
phul ko wo aa rahe the chum kar
chal rahe the is liye to jhum kar
aap sa koi hasin paya nahin
dekh aae hum zamana ghum kar
aur logon ki bhi hamdardi sameT
aur apni shakl ko masum kar
tu samajhta hai ki ye aasan hain
ishq ke raste zara malum kar
ishq mein lazim nahin ki wasl ho
mat inhen yun lazim-o-malzum kar
'zeb' shair hai to lazim hai tujhe
aashiqi ko apni tu manzum kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.