phul mahkae the maine shadmani ke liye
phuul mahkā.e the maiñ ne shādmānī ke liye
har nafs ab mar rahī hoñ zindagānī ke liye
kis tarah kaliyāñ khileñ aur kis tarah mahkeñ gulāb
tañg ho jaa.e zamīñ jab bāġhbānī ke liye
sabr kī had se guzar jaatī hai sahrāoñ kī pyaas
ḳhushk ho jaatā hai jab dariyā hī paanī ke liye
us kī chāhat us kī qurbat us kī bāteñ us kī yaad
kitne unvāñ mil ga.e haiñ ik kahānī ke liye
us liye ham ko nahīñ baḳhshā gayā koī makāñ
kyūñki ham paidā hue the be-makānī ke liye
talḳhiyoñ se vaqt kī jo ho ga.e nashtar-sifat
lab the vo mash.hūr apnī ḳhush-bayānī ke liye
vaqt ke jalte hue sūraj kī taptī dhuup meñ
is kī yādoñ ke shajar haiñ sā.ebānī ke liye
shā.irī kī bārishoñ meñ bhīge bhīge tere lab
rab kā hai in.aam 'mīnā' be-zabānī ke liye
phul mahkae the main ne shadmani ke liye
har nafs ab mar rahi hon zindagani ke liye
kis tarah kaliyan khilen aur kis tarah mahken gulab
tang ho jae zamin jab baghbani ke liye
sabr ki had se guzar jati hai sahraon ki pyas
KHushk ho jata hai jab dariya hi pani ke liye
us ki chahat us ki qurbat us ki baaten us ki yaad
kitne unwan mil gae hain ek kahani ke liye
us liye hum ko nahin baKHsha gaya koi makan
kyunki hum paida hue the be-makani ke liye
talKHiyon se waqt ki jo ho gae nashtar-sifat
lab the wo mashhur apni KHush-bayani ke liye
waqt ke jalte hue suraj ki tapti dhup mein
is ki yaadon ke shajar hain saebani ke liye
shairi ki barishon mein bhige bhige tere lab
rab ka hai inam 'mina' be-zabani ke liye
- Book : Kirchiyan Dard Ki (Pg. 57)
- Author : Dr. Meena Naqvi
- Publication : Aiwan-e-Adab Publishers, Delhi-6 (2010)
- Edition : 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.