phul mahke hain sadaon ke na chehra koi
phuul mahke haiñ sadāoñ ke na chehra koī
kitnā vīrāñ nazar aatā hai darīcha koī
bad-gumāñ ho ke mujhe vaqt ke sahrā meñ na chhoḌ
apne saa.e se bhī kartā hai kināra koī
ruk gayā shaam ke āñgan se guzartā sūraj
paḌ rahā hai kisī dīvār pe saaya koī
yuuñ chhupā.e hue phirtā huuñ hathelī ke nuqūsh
jaise muTThī meñ havā uḌtā huā lamha koī
pūchhtā kis se maiñ kho.e hue chehroñ kā pata
shahr kī bhiiḌ meñ niklā na shanāsā koī
us ne yuuñ dil ko mire ġham kī amānat sauñpī
jaise miTTī meñ chhupā detā hai sonā koī
ye mirī aañkh hai yā ā.ina-ḳhāna terā
har qadam par nazar aaya mujhe tujh sā koī
mere chehre pe bhī hālāt kī tahrīreñ thiiñ
maiñ bhī aḳhbār thā 'rāshid' mujhe paḌhtā koī
phul mahke hain sadaon ke na chehra koi
kitna viran nazar aata hai daricha koi
bad-guman ho ke mujhe waqt ke sahra mein na chhoD
apne sae se bhi karta hai kinara koi
ruk gaya sham ke aangan se guzarta suraj
paD raha hai kisi diwar pe saya koi
yun chhupae hue phirta hun hatheli ke nuqush
jaise muTThi mein hawa uDta hua lamha koi
puchhta kis se main khoe hue chehron ka pata
shahr ki bhiD mein nikla na shanasa koi
us ne yun dil ko mere gham ki amanat saunpi
jaise miTTi mein chhupa deta hai sona koi
ye meri aankh hai ya aaina-KHana tera
har qadam par nazar aaya mujhe tujh sa koi
mere chehre pe bhi haalat ki tahriren thin
main bhi aKHbar tha 'rashid' mujhe paDhta koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.