phul pari jab uD jaegi phir mangenge KHushbu log
phuul parī jab uḌ jā.egī phir māñgeñge ḳhushbū log
vahshī naafā girāñ na rahe to DhūñDne bhāge har sū log
chhūne chale ho duniyā ko tum ik saaya hai haath na aa.e
jaadū hai ye niil kī puḌiyā ham jaadū aur jaadū log
pher ulaT hai charḳh-e-jahān kā saath nibhā.e kis kā jigar
ḳhuun piyā hai jas ne hamārā p ga.e us ke aañsū log
bhaag sake to bhaag le manvā nāḳhunoñ vaalī bastī se
kaise nibhegī is jangal meñ ye chīte ham aahū log
ham ki ġhazālāñ shahr-e-amāñ kā rasta pūchhte phirte haiñ
sehn-e-haram ko rok ke baiThe najd-e-sag aur baddū log
phul pari jab uD jaegi phir mangenge KHushbu log
wahshi nafa giran na rahe to DhunDne bhage har su log
chhune chale ho duniya ko tum ek saya hai hath na aae
jadu hai ye nil ki puDiya hum jadu aur jadu log
pher ulaT hai charKH-e-jahan ka sath nibhae kis ka jigar
KHun piya hai jas ne hamara p gae us ke aansu log
bhag sake to bhag le manwa naKHunon wali basti se
kaise nibhegi is jangal mein ye chite hum aahu log
hum ki ghazalan shahr-e-aman ka rasta puchhte phirte hain
sehn-e-haram ko rok ke baiThe najd-e-sag aur baddu log
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.