phul pe jab ek titli dekhi apni jawani yaad aai
phuul pe jab ik titlī dekhī apnī javānī yaad aa.ī
aaj na jaane phir kyuuñ mujh ko apnī kahānī yaad aa.ī
zaḳhm ke Tāñke TuuT ga.e sab raat chalī jo purvā.ī
phir to chale the zaḳhm magar phir terī nishānī yaad aa.ī
yuuñ to sab kuchh bhuul chukā huuñ tark-e-vafā ke ba.ad magar
dard uThā jab dil meñ mere terī nishānī yaad aa.ī
tere kuñvāre jism kī ḳhushbū phail ga.ī hai kamre meñ
tujh ko havā jab chhū kar aa.ī raat suhānī yaad aa.ī
sham.a kī lau par jalte dekhā raat jo ik parvāne ko
saarī kahānī maazī kī vo apnī zabānī yaad aa.ī
bahte hue ik dariyā ko jo dekhā maiñ ne ek 'nazar'
haa.e kisī ke lahje kī vo narm kahānī yaad aa.ī
phul pe jab ek titli dekhi apni jawani yaad aai
aaj na jaane phir kyun mujh ko apni kahani yaad aai
zaKHm ke Tanke TuT gae sab raat chali jo purwai
phir to chale the zaKHm magar phir teri nishani yaad aai
yun to sab kuchh bhul chuka hun tark-e-wafa ke baad magar
dard uTha jab dil mein mere teri nishani yaad aai
tere kunware jism ki KHushbu phail gai hai kamre mein
tujh ko hawa jab chhu kar aai raat suhani yaad aai
shama ki lau par jalte dekha raat jo ek parwane ko
sari kahani mazi ki wo apni zabani yaad aai
bahte hue ek dariya ko jo dekha main ne ek 'nazar'
hae kisi ke lahje ki wo narm kahani yaad aai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.