phul se Dhalka hua os ka qatra hun main
phuul se Dhalkā huā os kā qatra huuñ maiñ
shāḳh se TuuT ke girtā huā pattā huuñ maiñ
chhoḌ ke chal diyā hai jaise badan hī mujh ko
jis kī pahchān nahīñ koī vo saaya huuñ maiñ
jo ki dar aayā thā rauzan se kiran ke hamrāh
tere kamre meñ vo be-fā.eda zarra huuñ maiñ
vādī-o-koh-o-bayābāñ se guzar kar āḳhir
shahr meñ aa ke jo kho jaa.e vo rasta huuñ maiñ
apnī āñkhoñ se nazar hī nahīñ aatā mujh ko
apne chehre ke liye aap hī parda huuñ maiñ
buujh ke aur adaq ho vo muamma huī tū
khul ke jo aur ulajh jaa.e vo uqda huuñ maiñ
ḳhud ujaḌ kar kiyā hai maiñ ne kisī ko ābād
naqsh meñ Dhal ke jo miT jaa.e vo jazba huuñ maiñ
mudda.ā hai ki mukammal karūñ taslīm use
kal jo kahtā thā tirī zaat kā hissa huuñ maiñ
'shaukat' is siine meñ mahsūs nahīñ ab vo bhī
dil ke baa.is kabhī da.avā thā ki zinda huuñ maiñ
phul se Dhalka hua os ka qatra hun main
shaKH se TuT ke girta hua patta hun main
chhoD ke chal diya hai jaise badan hi mujh ko
jis ki pahchan nahin koi wo saya hun main
jo ki dar aaya tha rauzan se kiran ke hamrah
tere kamre mein wo be-faeda zarra hun main
wadi-o-koh-o-bayaban se guzar kar aaKHir
shahr mein aa ke jo kho jae wo rasta hun main
apni aankhon se nazar hi nahin aata mujh ko
apne chehre ke liye aap hi parda hun main
bujh ke aur adaq ho wo muamma hui tu
khul ke jo aur ulajh jae wo uqda hun main
KHud ujaD kar kiya hai main ne kisi ko aabaad
naqsh mein Dhal ke jo miT jae wo jazba hun main
muddaa hai ki mukammal karun taslim use
kal jo kahta tha teri zat ka hissa hun main
'shaukat' is sine mein mahsus nahin ab wo bhi
dil ke bais kabhi dawa tha ki zinda hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.