phul se honT nahin jhil si aankhen bhi nahin
phuul se hoñT nahīñ jhiil sī āñkheñ bhī nahīñ
aaj pahlū meñ tirī marmarīñ bāheñ bhī nahīñ
ḳhvāb TuuTe to maiñ bīnā.ī bhī kho baiThā huuñ
yuuñ tujhe khoyā ki ab zehn meñ yādeñ bhī nahīñ
haath chhūTe to huā haal ye mahrūmī kā
ab mire hāthoñ meñ qismat kī lakīreñ bhī nahīñ
tū nahīñ hai to hai be-rang shafaq shaam udaas
aur pahle sī mahak aaj havā meñ bhī nahīñ
vaqt kaTtā hī nahīñ sirf guzar jaatā hai
sub.h sī sub.heñ nahīñ raat sī rāteñ bhī nahīñ
phul se honT nahin jhil si aankhen bhi nahin
aaj pahlu mein teri marmarin bahen bhi nahin
KHwab TuTe to main binai bhi kho baiTha hun
yun tujhe khoya ki ab zehn mein yaaden bhi nahin
hath chhuTe to hua haal ye mahrumi ka
ab mere hathon mein qismat ki lakiren bhi nahin
tu nahin hai to hai be-rang shafaq sham udas
aur pahle si mahak aaj hawa mein bhi nahin
waqt kaTta hi nahin sirf guzar jata hai
subh si subhen nahin raat si raaten bhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.