phul se meri yahi gham-KHwariyan
phuul se merī yahī ġham-ḳhvāriyāñ
ik gulistāñ meñ hazāroñ kyāriyāñ
baañT kar ham ko ka.ī TukḌe kiye
hai hukūmat kī sabhī tayyāriyāñ
shabnamī qatre nigāhoñ meñ dikhe
ban ga.e haiñ dhuup meñ chingāriyāñ
ye siyāsī log to 'ishrat meñ haiñ
aap ko mujh ko raheñ dushvāriyāñ
dekhnā ab bech na de mulk ko
kauḌiyoñ meñ bech dī ḳhuddāriyāñ
aap maz.hab ko davā kahte rahe
ho ga.ī haiñ ḳhud use bīmāriyāñ
ham nahīñ bole agar tū kaun phir
niiñd toḌegā ki hoñ bedāriyāñ
sab bure haiñ ik bure ko chun liyā
har chunāvoñ meñ yahī lāchāriyāñ
phul se meri yahi gham-KHwariyan
ek gulistan mein hazaron kyariyan
banT kar hum ko kai TukDe kiye
hai hukumat ki sabhi tayyariyan
shabnami qatre nigahon mein dikhe
ban gae hain dhup mein chingariyan
ye siyasi log to 'ishrat mein hain
aap ko mujh ko rahen dushwariyan
dekhna ab bech na de mulk ko
kauDiyon mein bech di KHuddariyan
aap mazhab ko dawa kahte rahe
ho gai hain KHud use bimariyan
hum nahin bole agar tu kaun phir
nind toDega ki hon bedariyan
sab bure hain ek bure ko chun liya
har chunawon mein yahi lachaariyan
- Book : Word File Mail By Salim Saleem
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.