phul us ka istiara tha kabhi
phuul us kā isti.ārā thā kabhī
rang-o-bū ko ik sahārā thā kabhī
bārisheñ kahtī haiñ biitā kal mirā
ye samandar pāra-pāra thā kabhī
vaqt ne kī ahmiyat kam vaqt kī
ye zarā sā kitnā saarā thā kabhī
chaar din bharpūr jī aur phir batā
kyā guzāre par guzārā thā kabhī
ab jo aayā hai maiñ us se kyā kahūñ
maiñ ne kis kis ko pukārā thā kabhī
aaj bhī jiitā huuñ bas ye soch kar
us ne sab kuchh mujh pe haarā thā kabhī
chhuT gayā sab kuchh par itnā yaad hai
kyā nahīñ thā kyā hamārā thā kabhī
kam-nazar har daur meñ kahte haiñ ye
kyā nazar thī kyā nazārā thā kabhī
aasrā paatā rahā jitnā 'amit'
kyā tū itnā be-sahārā thā kabhī
phul us ka istiara tha kabhi
rang-o-bu ko ek sahaara tha kabhi
barishen kahti hain bita kal mera
ye samandar para-para tha kabhi
waqt ne ki ahmiyat kam waqt ki
ye zara sa kitna sara tha kabhi
chaar din bharpur ji aur phir bata
kya guzare par guzara tha kabhi
ab jo aaya hai main us se kya kahun
main ne kis kis ko pukara tha kabhi
aaj bhi jita hun bas ye soch kar
us ne sab kuchh mujh pe haara tha kabhi
chhuT gaya sab kuchh par itna yaad hai
kya nahin tha kya hamara tha kabhi
kam-nazar har daur mein kahte hain ye
kya nazar thi kya nazara tha kabhi
aasra pata raha jitna 'amit'
kya tu itna be-sahaara tha kabhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.