phul zaKHmi hain Khaar zaKHmi hai
phuul zaḳhmī haiñ ḳhaar zaḳhmī hai
ab ke saarī bahār zaḳhmī hai
merī āñkhoñ se ḳhuun bahtā hai
kis qadar intizār zaḳhmī hai
merī gardan to kaaT dī hai magar
ḳhud bhī vo zul-fiqār zaḳhmī hai
terī haivāniyat pe a insāñ
nazm-e-lail-o-nahār zaḳhmī hai
husn ne aisī zarb maarī hai
ab talak merā pyaar zaḳhmī hai
terī nusrat ko aa nahīñ saktā
terā ye jāñ-nisār zaḳhmī hai
ab kisī par yaqīñ nahīñ hai mujhe
is qadar e.atibār zaḳhmī hai
phul zaKHmi hain KHar zaKHmi hai
ab ke sari bahaar zaKHmi hai
meri aankhon se KHun bahta hai
kis qadar intizar zaKHmi hai
meri gardan to kaT di hai magar
KHud bhi wo zul-fiqar zaKHmi hai
teri haiwaniyat pe a insan
nazm-e-lail-o-nahaar zaKHmi hai
husn ne aisi zarb mari hai
ab talak mera pyar zaKHmi hai
teri nusrat ko aa nahin sakta
tera ye jaan-nisar zaKHmi hai
ab kisi par yaqin nahin hai mujhe
is qadar eatibar zaKHmi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.