Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

phulon ke ru-ba-ru tha sitaron ke samne

Shabnam Munavari

phulon ke ru-ba-ru tha sitaron ke samne

Shabnam Munavari

MORE BYShabnam Munavari

    phūloñ ke rū-ba-rū thā sitāroñ ke sāmne

    vo shaḳhs jal rahā thā hazāroñ ke sāmne

    maiñ zaat ke ġhulām jazīre meñ qaid thā

    charchā mirī anā thā yāroñ ke sāmne

    chehre bahut hasīñ the magar dil bahut udaas

    manzar dhuāñ dhuāñ the bahāroñ ke sāmne

    bāteñ hamāre pyaar sho.ala-bayān thiiñ

    tinkoñ ke āshiyāñ the sharāroñ ke sāmne

    phir us zikr tak bhī nahīñ thā shumār meñ

    jo shaḳhs chal rahā thā qatāroñ ke sāmne

    ai chāñd mujh ko gahre samundar meñ le chalo

    maiñ Dūbne lagā huuñ kināroñ ke sāmne

    'shabnam' kisī kalī ke jigar meñ qiyām kar

    kyoñ gir rahā hai vaqt ke ḳhāroñ ke sāmne

    phulon ke ru-ba-ru tha sitaron ke samne

    wo shaKHs jal raha tha hazaron ke samne

    main zat ke ghulam jazire mein qaid tha

    charcha meri ana ka tha yaron ke samne

    chehre bahut hasin the magar dil bahut udas

    manzar dhuan dhuan the bahaaron ke samne

    baaten hamare pyar ki shoala-bayan thin

    tinkon ke aashiyan the shararon ke samne

    phir us ka zikr tak bhi nahin tha shumar mein

    jo shaKHs chal raha tha qataron ke samne

    ai chand mujh ko gahre samundar mein le chalo

    main Dubne laga hun kinaron ke samne

    'shabnam' kisi kali ke jigar mein qiyam kar

    kyon gir raha hai waqt ke KHaron ke samne

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now