phulon ki baat dur tarasta hun Khaar ko
phūloñ kī baat duur tarastā huuñ ḳhaar ko
jī chāhtā hai aag lagā duuñ bahār ko
pattā koī bachā hai tire vāste batā
ab sar pe dhar ke naach chaman meñ bahār ko
kānoñ meñ tel Daal ke so.e paḌe haiñ log
kis ko dimāġh sun le kisī kī pukār ko
kohrām mach rahā hai gayā murdanī kā daur
chhā.e hue sukūt pe dekh intishār ko
ab chāhte haiñ puurī kahānī sunā.ūñ maiñ
karte the jo pasand faqat iḳhtisār ko
mere liye huā hai na hogā kabhī vo narm
rotā rahūñgā maiñ yūñhī parvardigār ko
mazmūn bāñdhtā hai suḳhan meñ na.e na.e
'kundan' baḌhā rahā hai ġhazal ke vaqār ko
phulon ki baat dur tarasta hun KHar ko
ji chahta hai aag laga dun bahaar ko
patta koi bacha hai tere waste bata
ab sar pe dhar ke nach chaman mein bahaar ko
kanon mein tel Dal ke soe paDe hain log
kis ko dimagh sun le kisi ki pukar ko
kohram mach raha hai gaya murdani ka daur
chhae hue sukut pe dekh intishaar ko
ab chahte hain puri kahani sunaun main
karte the jo pasand faqat iKHtisar ko
mere liye hua hai na hoga kabhi wo narm
rota rahunga main yunhi parwardigar ko
mazmun bandhta hai suKHan mein nae nae
'kundan' baDha raha hai ghazal ke waqar ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.