phulon ki KHwahish mein aksar kanTon ko apnate hain
phūloñ kī ḳhvāhish meñ aksar kāñToñ ko apnāte haiñ
aadat se majbūr haiñ apnā dāman ḳhud uljhāte haiñ
ek nazar un kī ḳhātir bhī ek nazar un kī jānib
mausam-e-gul meñ jo dīvāne mātamī naġhme gaate haiñ
siip ke bāhar paanī kyā muflis kā mailā āñchal kyā
sone par Tapke aañsū bhī tāj-mahal ban jaate haiñ
pichhle sāvan meñ pal-pal jalte rahne kā hukm milā
ab ke tere des ke bādal kyā sandesa laate haiñ
dard ke sahrāoñ ke aage pyaar ke mīThe chashme haiñ
ḳhvāboñ ke saudāgar jaane kyā kyā ḳhvāb dikhāte haiñ
log ye kaise haiñ jo ham se din meñ aañkh churāte haiñ
shaam Dhale to le kar sāġhar piine pilāne aate haiñ
phulon ki KHwahish mein aksar kanTon ko apnate hain
aadat se majbur hain apna daman KHud uljhate hain
ek nazar un ki KHatir bhi ek nazar un ki jaanib
mausam-e-gul mein jo diwane matami naghme gate hain
sip ke bahar pani kya muflis ka maila aanchal kya
sone par Tapke aansu bhi taj-mahal ban jate hain
pichhle sawan mein pal-pal jalte rahne ka hukm mila
ab ke tere des ke baadal kya sandesa late hain
dard ke sahraon ke aage pyar ke miThe chashme hain
KHwabon ke saudagar jaane kya kya KHwab dikhate hain
log ye kaise hain jo hum se din mein aankh churaate hain
sham Dhale to le kar saghar pine pilane aate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.