phulon ko sharmsar kiya hai kabhi kabhi
phulon ko sharmsar kiya hai kabhi kabhi
Syed Zahiruddin Zaheer
MORE BYSyed Zahiruddin Zaheer
phūloñ ko sharmsār kiyā hai kabhī kabhī
kāñToñ se ham ne pyaar kiyā hai kabhī kabhī
mauqūf chāk-e-jeb-e-garebāñ hī par nahīñ
dāman bhī tār-tār kiyā hai kabhī kabhī
maiñ muztarib rahā huuñ ye sach hai firāq meñ
un ko bhī be-qarār kiyā hai kabhī kabhī
dil kā diyā jalā ke ḳhud apne hī ḳhuun se
shab shab-bhar intizār kiyā hai kabhī kabhī
tanhā shab-e-firāq meñ tār-e-nafas ke saath
tāroñ kā bhī shumār kiyā hai kabhī kabhī
aisā bhī vaqt aayā hai aksar hayāt meñ
sar apnā sū-e-dār kiyā hai kabhī kabhī
sayyād mere tā.ir-e-dil ne qafas ko bhī
nāloñ se pur-bahār kiyā hai kabhī kabhī
phulon ko sharmsar kiya hai kabhi kabhi
kanTon se hum ne pyar kiya hai kabhi kabhi
mauquf chaak-e-jeb-e-gareban hi par nahin
daman bhi tar-tar kiya hai kabhi kabhi
main muztarib raha hun ye sach hai firaq mein
un ko bhi be-qarar kiya hai kabhi kabhi
dil ka diya jala ke KHud apne hi KHun se
shab shab-bhar intizar kiya hai kabhi kabhi
tanha shab-e-firaq mein tar-e-nafas ke sath
taron ka bhi shumar kiya hai kabhi kabhi
aisa bhi waqt aaya hai aksar hayat mein
sar apna su-e-dar kiya hai kabhi kabhi
sayyaad mere tair-e-dil ne qafas ko bhi
nalon se pur-bahaar kiya hai kabhi kabhi
- Book : SAAZ-O-NAVA (Pg. 216)
- Publication : Raghu Nath suhai ummid
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.