phulon mein ek rang hai aankhon ke nir ka
phūloñ meñ ek rañg hai āñkhoñ ke niir kā
manzar tamām-tar hai ye fasl-e-zamīr kā
rishta vo kyā huā mirī āñkhoñ se niir kā
muddat huī hai hādsa dekhe zamīr kā
paanī utar gayā to zamīñ sañglāḳh thī
tīkhā sā har savāl thā rāñjhe se hiir kā
terī azaañ ke saath maiñ uThtā huuñ pau phaTe
sar meñ liye hue koī sajda asiir kā
dekhā na dostoñ ne imārat ke us taraf
pūchhā kabhī na haal kisī ne faqīr kā
ā.īna gir paḌā thā mire haath se kabhī
phir yaad hādsa nahīñ koī zamīr kā
sahrā-e-jism ruuh ke andar utar gayā
ab kyā dikhā.e mo'jiza insāñ zamīr kā
aañsū kī ek buuñd ko āñkheñ taras ga.iiñ
is dhuup meñ jhulas gayā dohā kabīr kā
aadhā falak ke paas thā aadhā zamīn par
maiñ nā-tamām ḳhvāb thā badr-e-munīr kā
pakke hurūf gard kī sūrat bikhar ga.e
siine meñ ghaav rah gayā kachchī lakīr kā
hotī raheñgī bārisheñ 'ahmad' visāl kī
ḳhālī rahegā jaam hamesha faqīr kā
phulon mein ek rang hai aankhon ke nir ka
manzar tamam-tar hai ye fasl-e-zamir ka
rishta wo kya hua meri aankhon se nir ka
muddat hui hai hadsa dekhe zamir ka
pani utar gaya to zamin sanglaKH thi
tikha sa har sawal tha ranjhe se hir ka
teri azan ke sath main uThta hun pau phaTe
sar mein liye hue koi sajda asir ka
dekha na doston ne imarat ke us taraf
puchha kabhi na haal kisi ne faqir ka
aaina gir paDa tha mere hath se kabhi
phir yaad hadsa nahin koi zamir ka
sahra-e-jism ruh ke andar utar gaya
ab kya dikhae mo'jiza insan zamir ka
aansu ki ek bund ko aankhen taras gain
is dhup mein jhulas gaya doha kabir ka
aadha falak ke pas tha aadha zamin par
main na-tamam KHwab tha badr-e-munir ka
pakke huruf gard ki surat bikhar gae
sine mein ghaw rah gaya kachchi lakir ka
hoti rahengi barishen 'ahmad' visal ki
KHali rahega jam hamesha faqir ka
- Book : Pas-e-Ashkar (Pg. 87)
- Author : Ahmed Shanas
- Publication : M. R. Publications (2010)
- Edition : 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.