phulon mein la-jawab hai surat gulab ki
phūloñ meñ lā-javāb hai sūrat gulāb kī
kāñTe bhī kar rahe haiñ hifāzat gulāb kī
maiñ ne chaman meñ jā ke ye mahsūs kar liyā
chaltī hai gulsitāñ meñ hukūmat gulāb kī
husn-o-shabāb us ke ḳharīdār ho ga.e
joḌoñ ko paḌ rahī hai zarūrat gulāb kī
ḳhushbū ke saath saath meñ rā'nā.iyāñ bhī haiñ
ham ḳhuub jānte haiñ haqīqat gulāb kī
khilte haiñ gul tamām bikhar jaate haiñ 'jamāl'
logoñ ke dil meñ rahtī hai chāhat gulāb kī
phulon mein la-jawab hai surat gulab ki
kanTe bhi kar rahe hain hifazat gulab ki
main ne chaman mein ja ke ye mahsus kar liya
chalti hai gulsitan mein hukumat gulab ki
husn-o-shabab us ke KHaridar ho gae
joDon ko paD rahi hai zarurat gulab ki
KHushbu ke sath sath mein ra'naiyan bhi hain
hum KHub jaante hain haqiqat gulab ki
khilte hain gul tamam bikhar jate hain 'jamal'
logon ke dil mein rahti hai chahat gulab ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.