phulon se bhare bagh bhi viran nazar aae
phūloñ se bhare baaġh bhī vīrāñ nazar aa.e
shahroñ meñ bahut kam hameñ insāñ nazar aa.e
saiqal na karo aa.ine kyā is kī zarūrat
kirdār to chehroñ pe numāyāñ nazar aa.e
kī hai samar o gul kī ajab parvarish us ne
tā-hadd-e-nazar baaġh bayābāñ nazar aa.e
kapḌe to alag jis ne badan noch liye haiñ
lo naam ki vo shaḳhs bhī uryāñ nazar aa.e
hairat hai ki hāsil jise ārām bahut hai
itnā hī ziyāda vo pareshāñ nazar aa.e
roTī kā aham mas.ala ye hai na mile gar
to haath se jaatā huā īmāñ nazar aa.e
kāfir sahī us se baḌā mohtāt huuñ 'shaukat'
jo aadmī sūrat se musalmāñ nazar aa.e
phulon se bhare bagh bhi viran nazar aae
shahron mein bahut kam hamein insan nazar aae
saiqal na karo aaine kya is ki zarurat
kirdar to chehron pe numayan nazar aae
ki hai samar o gul ki ajab parwarish us ne
ta-hadd-e-nazar bagh bayaban nazar aae
kapDe to alag jis ne badan noch liye hain
lo nam ki wo shaKHs bhi uryan nazar aae
hairat hai ki hasil jise aaram bahut hai
itna hi ziyaada wo pareshan nazar aae
roTi ka aham masala ye hai na mile gar
to hath se jata hua iman nazar aae
kafir sahi us se baDa mohtat hun 'shaukat'
jo aadmi surat se musalman nazar aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.