phulon se chhup saka hai kahin gulsitan ka haal
phūloñ se chhup sakā hai kahīñ gulsitāñ kā haal
ham jānte haiñ aaj hai jo is jahāñ kā haal
nazroñ meñ dār-o-gīr kā 'ālam hai aaj bhī
kis dil se ham batā.eñ tumheñ kārvāñ kā haal
bijlī kī zad meñ aa gayā fasl-e-bahār meñ
al-muḳhtasar yahī hai mere āshiyāñ kā haal
naqsha kisī kī bazm kā āñkhoñ meñ phir gayā
vaa.iz ne aaj chheḌā jo bāġh-e-jināñ kā haal
hai fikr gul kī is ko na kaliyoñ kā kuchh ḳhayāl
ham kyā batā.eñ aaj jo hai bāġhbāñ kā haal
be-bāl-o-par paḌā huuñ qafas meñ chaman se duur
kuchh to batāo mujh ko mire gulsitāñ kā haal
mere hī gulsitāñ kī nahīñ baat ai 'umīd'
hai ek hī sā aaj to saare jahāñ kā haal
phulon se chhup saka hai kahin gulsitan ka haal
hum jaante hain aaj hai jo is jahan ka haal
nazron mein dar-o-gir ka 'alam hai aaj bhi
kis dil se hum bataen tumhein karwan ka haal
bijli ki zad mein aa gaya fasl-e-bahaar mein
al-muKHtasar yahi hai mere aashiyan ka haal
naqsha kisi ki bazm ka aankhon mein phir gaya
waiz ne aaj chheDa jo bagh-e-jinan ka haal
hai fikr gul ki is ko na kaliyon ka kuchh KHayal
hum kya bataen aaj jo hai baghban ka haal
be-baal-o-par paDa hun qafas mein chaman se dur
kuchh to batao mujh ko mere gulsitan ka haal
mere hi gulsitan ki nahin baat ai 'umid'
hai ek hi sa aaj to sare jahan ka haal
- Book : SAAZ-O-NAVA (Pg. 58)
- Publication : Raghu Nath suhai ummid
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.