phulon se mohabbat hai sab ko kanTon se kisi ko pyar nahin
phulon se mohabbat hai sab ko kanTon se kisi ko pyar nahin
Bedar Bhopali
MORE BYBedar Bhopali
phūloñ se mohabbat hai sab ko kāñToñ se kisī ko pyaar nahīñ
ḳhushiyoñ meñ zamāna sāthī hai ġham hoñ to koī ġham-ḳhvār nahīñ
faanī hai yahāñ kī har ik shai phir terī merī hastī kyā
duniyā pe bharosa kyā karnā duniyā kā koī me.aar nahīñ
har jor sitam manzūr unheñ har zulm gavāra hai un ko
phir bhī to tire dīvānoñ kī qismat meñ tirā dīdār nahīñ
ek ġham jo diyā hai tū ne mujhe vo umr kā hāsil hai merī
ab is ke alāva kuchh mujh ko matlūb nahīñ darkār nahīñ
kahne ko hamārī ġhazloñ meñ har lafz lahū kā qatra hai
alfāz magar alfāz nahīñ ash.ār magar ash.ār nahīñ
haiñ un se tasavvur meñ bāteñ yādoñ meñ munavvar haiñ rāteñ
maiñ kaise samajh luuñ siine meñ ḳhvābīda hai bedār nahīñ
phulon se mohabbat hai sab ko kanTon se kisi ko pyar nahin
KHushiyon mein zamana sathi hai gham hon to koi gham-KHwar nahin
fani hai yahan ki har ek shai phir teri meri hasti kya
duniya pe bharosa kya karna duniya ka koi mear nahin
har jor sitam manzur unhen har zulm gawara hai un ko
phir bhi to tere diwanon ki qismat mein tera didar nahin
ek gham jo diya hai tu ne mujhe wo umr ka hasil hai meri
ab is ke alawa kuchh mujh ko matlub nahin darkar nahin
kahne ko hamari ghazlon mein har lafz lahu ka qatra hai
alfaz magar alfaz nahin ashaar magar ashaar nahin
hain un se tasawwur mein baaten yaadon mein munawwar hain raaten
main kaise samajh lun sine mein KHwabida hai bedar nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.