phulon se suKHan mera sanwarne nahin pata
phūloñ se suḳhan merā sañvarne nahīñ paatā
sāġhar hai tamanna kā ki bharne nahīñ paatā
ik yaad hai aisī ki jo taḌpātī hai dil ko
ik zaḳhm hai aisā ki jo bharne nahīñ paatā
maiñ huuñ ki bhulāne ko tamanna karūñ us kī
vo hai ki mire dil se utarne nahīñ paatā
furqat ke ye lamhe bhī 'ajab kitne haiñ ai dost
maiñ marnā agar chāhūñ to marne nahīñ paatā
maiñ aage to baḌh aayā huuñ lekin ye mirā dil
ik shaḳhs kī yādoñ se ubharne nahīñ paatā
kartā huuñ maiñ vo jis kī tamanna nahīñ hotī
ho jis kī tamanna to vo karne nahīñ paatā
ik aag mire dil meñ dabī rahtī hai har din
ik diip hai mujh meñ ki nikharne nahīñ paatā
maiñ zard hue chehre se nālāñ nahīñ hargiz
ye chehra vahī hai jo mukarne nahīñ paatā
kuchh had se sivā ġham hai mirā aisā hai 'kāvish'
bin un ke mirā vaqt guzarne nahīñ paatā
phulon se suKHan mera sanwarne nahin pata
saghar hai tamanna ka ki bharne nahin pata
ek yaad hai aisi ki jo taDpati hai dil ko
ek zaKHm hai aisa ki jo bharne nahin pata
main hun ki bhulane ko tamanna karun us ki
wo hai ki mere dil se utarne nahin pata
furqat ke ye lamhe bhi 'ajab kitne hain ai dost
main marna agar chahun to marne nahin pata
main aage to baDh aaya hun lekin ye mera dil
ek shaKHs ki yaadon se ubharne nahin pata
karta hun main wo jis ki tamanna nahin hoti
ho jis ki tamanna to wo karne nahin pata
ek aag mere dil mein dabi rahti hai har din
ek dip hai mujh mein ki nikharne nahin pata
main zard hue chehre se nalan nahin hargiz
ye chehra wahi hai jo mukarne nahin pata
kuchh had se siwa gham hai mera aisa hai 'kawish'
bin un ke mera waqt guzarne nahin pata
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.