phunk Dala kushta-e-gham kar diya
phūñk Daalā kushta-e-ġham kar diyā
zindagī ne naak meñ dam kar diyā
ab ziyāda sochnā be-kār hai
ab ziyāda sochnā kam kar diyā
aap ne merā piyāla toḌ kar
ham-kanār-e-sāġhar-e-jam kar diyā
tum shahanshāh-e-do-ālam ho ga.e
ham ko rusvā-e-do-ālam kar diyā
jhuuT bilkul jhuuT hai 'sarshār' ne
jhuuT ke aage bhī sar ḳham kar diyā
phunk Dala kushta-e-gham kar diya
zindagi ne nak mein dam kar diya
ab ziyaada sochna be-kar hai
ab ziyaada sochna kam kar diya
aap ne mera piyala toD kar
ham-kanar-e-saghar-e-jam kar diya
tum shahanshah-e-do-alam ho gae
hum ko ruswa-e-do-alam kar diya
jhuT bilkul jhuT hai 'sarshaar' ne
jhuT ke aage bhi sar KHam kar diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.