phunk Dalegi ye ashkon ki sharar-bari mujhe
phūñk Dālegī ye ashkoñ kī sharar-bārī mujhe
raakh meñ kab tak dabā rakkhegī chingārī mujhe
tang mere jism par hai pārsā.ī kā libās
maar Dālegī kisī din ye riyā-kārī mujhe
bechtā huuñ apne fan-pāre khule bāzār meñ
kar ga.ī rusvā sar-e-bāzār nādārī mujhe
mere hisse meñ to ġhairoñ kī azā-dārī bhī hai
kab gavārā hogī apnoñ kī dil-āzārī mujhe
apnī bedārī kā ḳhud mujh ko yaqīñ aatā nahīñ
lag ga.ī hai āj-kal ḳhvāboñ kī bīmārī mujhe
apne hī dil kī gavāhī par kiyā thā e'tibār
kar ga.ī badnām ḳhud apnī taraf-dārī mujhe
vo sulūk-e-nāravā mujh se ba-nām-e-iltifāt
dostoñ kī yaad hai ab tak adākārī mujhe
phunk Dalegi ye ashkon ki sharar-bari mujhe
rakh mein kab tak daba rakkhegi chingari mujhe
tang mere jism par hai parsai ka libas
mar Dalegi kisi din ye riya-kari mujhe
bechta hun apne fan-pare khule bazar mein
kar gai ruswa sar-e-bazar nadari mujhe
mere hisse mein to ghairon ki aza-dari bhi hai
kab gawara hogi apnon ki dil-azari mujhe
apni bedari ka KHud mujh ko yaqin aata nahin
lag gai hai aaj-kal KHwabon ki bimari mujhe
apne hi dil ki gawahi par kiya tha e'tibar
kar gai badnam KHud apni taraf-dari mujhe
wo suluk-e-narawa mujh se ba-nam-e-iltifat
doston ki yaad hai ab tak adakari mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.