phunk de ruh ki jaan de koi
phūñk de ruuh ki jaañ de koī
ḳhaak ko merī amaañ de koī
mere andar bhī to ik masjid hai
kabhī mujh meñ bhī azaañ de koī
jab tire saare pate haiñ farzī
phir sadā de to kahāñ de koī
maz.hab-e-ishq meñ sab jaa.ez hai
fatvā-e-sūd-o-ziyāñ de koī
log kahte haiñ ki ham zinda haiñ
zindagī kā to nishāñ de koī
sab taraf-dār haiñ sachchā.ī ke
itnā jhūTā na bayāñ de koī
lafz gūñge haiñ magar boleñge
shart itnī hai zabāñ de koī
donoñ aalam se mujhe kyā lenā
mujh ko merā hī jahāñ de koī
muntazir hashr ke kyoñ ho 'sālim'
haq agar hai to yahāñ de koī
phunk de ruh ki jaan de koi
KHak ko meri aman de koi
mere andar bhi to ek masjid hai
kabhi mujh mein bhi azan de koi
jab tere sare pate hain farzi
phir sada de to kahan de koi
mazhab-e-ishq mein sab jaez hai
fatwa-e-sud-o-ziyan de koi
log kahte hain ki hum zinda hain
zindagi ka to nishan de koi
sab taraf-dar hain sachchai ke
itna jhuTa na bayan de koi
lafz gunge hain magar bolenge
shart itni hai zaban de koi
donon aalam se mujhe kya lena
mujh ko mera hi jahan de koi
muntazir hashr ke kyon ho 'salim'
haq agar hai to yahan de koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.