pichhle baras ke sanhe bhule na hum abhi
pichhle baras ke sānhe bhūle na ham abhī
tum sāmne na aao ki taaza haiñ ġham abhī
munsif hamāre ahd ke allāh kī panāh
qātil se kah rahe haiñ ki hai mohtaram abhī
uThne lagīñ abhī se mirī samt uñgliyāñ
dahlīz-e-mai-kada pe rakhā hai qadam abhī
koī nahīñ hai merā ġham-e-hijr ke sivā
kyā jaane kis kī yaad meñ palkeñ haiñ nam abhī
kiije jafā.eñ aur ki phūle phale ye fan
soz-o-gudāz tarz-e-bayāñ meñ hai kam abhī
is ko jahāñ meñ aur bhī honā hai pā.edār
urdu zabāñ pe Dhāte hī rahiye sitam abhī
dil meñ ḳhudā hai un ke kaho un se 'sarfarāz'
jo phir rahe haiñ dekhte dair-o-haram abhī
pichhle baras ke sanhe bhule na hum abhi
tum samne na aao ki taza hain gham abhi
munsif hamare ahd ke allah ki panah
qatil se kah rahe hain ki hai mohtaram abhi
uThne lagin abhi se meri samt ungliyan
dahliz-e-mai-kada pe rakha hai qadam abhi
koi nahin hai mera gham-e-hijr ke siwa
kya jaane kis ki yaad mein palken hain nam abhi
kije jafaen aur ki phule phale ye fan
soz-o-gudaz tarz-e-bayan mein hai kam abhi
is ko jahan mein aur bhi hona hai paedar
urdu zaban pe Dhate hi rahiye sitam abhi
dil mein KHuda hai un ke kaho un se 'sarfaraaz'
jo phir rahe hain dekhte dair-o-haram abhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.