pichhle ko uTh khaDa na ho dard-e-jigar kahin
Interesting Fact
1913
pichhle ko uTh khaḌā na ho dard-e-jigar kahīñ
pahuñche na uḌte uḌte kahīñ se ḳhabar kahīñ
kaifiyyat-e-hayāt se ḳhālī huā hai dil
o sāqī-e-azal mirā paimāna bhar kahīñ
mar jā.eñge taḌap ke asīrān-e-bad-nasīb
sun pā.eñge jo muzda-e-vahshat-asar kahīñ
phaḌkā kiye muraqqa-e-ālam ke husn par
Thahrī kabhī na ahl-e-havas kī nazar kahīñ
āḳhir hijāb-o-sharm kī had bhī hai mehrbāñ
parda ulaT na de mirī āh-e-sahar kahīñ
din vāda-e-visāl kā nazdīk aa chukā
phir der kyā hai 'yās' are kambaḳht mar kahīñ
pichhle ko uTh khaDa na ho dard-e-jigar kahin
pahunche na uDte uDte kahin se KHabar kahin
kaifiyyat-e-hayat se KHali hua hai dil
o saqi-e-azal mera paimana bhar kahin
mar jaenge taDap ke asiran-e-bad-nasib
sun paenge jo muzda-e-wahshat-asar kahin
phaDka kiye muraqqa-e-alam ke husn par
Thahri kabhi na ahl-e-hawas ki nazar kahin
aaKHir hijab-o-sharm ki had bhi hai mehrban
parda ulaT na de meri aah-e-sahar kahin
din wada-e-visal ka nazdik aa chuka
phir der kya hai 'yas' are kambaKHt mar kahin
- Book : Kulliyat-e-Yagana (Pg. 152)
- Author : Meerza Yagana Changezi Lukhnawi
- Publication : Farib Book Depot (P) Ltd. (2005)
- Edition : 2005
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.