pichhle zaKHmon ka izala na hi wahshat karega
pichhle zaḳhmoñ kā izāla na hī vahshat karegā
tujh se vāqif huuñ mirī jaañ tū mohabbat karegā
maiñ chalā jā.ūñgā duniyā se sikandar kī tarah
aglī sadiyoñ pe mirā naam hukūmat karegā
pesh hai dūsre aalam meñ bhī tanhā rahnā
maiñ ne sochā thā tū duniyā se baġhāvat karegā
dil tirī rāh-e-aziyyat se palaTne ko hai
kyā tū ab bhī na mirā ḳhvāb haqīqat karegā
tū mirī maut kī tasdīq nahīñ kar saktā
chhuegā to mujhe aur dil mirā harakat karegā
vāhima sahrā-navardī kā mudallal nahīñ hai
koī hogā mire dil meñ tabhī hijrat karegā
vo jo 'āfāq' charāġhoñ kī laveñ toḌtā hai
apnā sūraj bhī usī haath pe bai'at karegā
pichhle zaKHmon ka izala na hi wahshat karega
tujh se waqif hun meri jaan tu mohabbat karega
main chala jaunga duniya se sikandar ki tarah
agli sadiyon pe mera nam hukumat karega
pesh hai dusre aalam mein bhi tanha rahna
main ne socha tha tu duniya se baghawat karega
dil teri rah-e-aziyyat se palaTne ko hai
kya tu ab bhi na mera KHwab haqiqat karega
tu meri maut ki tasdiq nahin kar sakta
chhuega to mujhe aur dil mera harakat karega
wahima sahra-nawardi ka mudallal nahin hai
koi hoga mere dil mein tabhi hijrat karega
wo jo 'afaq' charaghon ki lawen toDta hai
apna suraj bhi usi hath pe bai'at karega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.