pichhli raaton mein sada deta hai kaun
pichhlī rātoñ meñ sadā detā hai kaun
niiñd se mujh ko jagā detā hai kaun
ho ga.ī āsān tanhā.ī kī raah
bhiiḌ ho to rāsta detā hai kaun
dil-jale is raaz se haiñ bā-ḳhabar
phuul sahrā meñ khilā detā hai kaun
shefta ham hī the apne ḳhuun ke
varna qātil ko duā detā hai kaun
us ne ye kah kar mujhe chhoḌā 'ra.īs'
aise mujrim ko sazā detā hai kaun
pichhli raaton mein sada deta hai kaun
nind se mujh ko jaga deta hai kaun
ho gai aasan tanhai ki rah
bhiD ho to rasta deta hai kaun
dil-jale is raaz se hain ba-KHabar
phul sahra mein khila deta hai kaun
shefta hum hi the apne KHun ke
warna qatil ko dua deta hai kaun
us ne ye kah kar mujhe chhoDa 'rais'
aise mujrim ko saza deta hai kaun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.