pichhli sadi ke buDhe peD
pichhlī sadī ke būḌhe peḌ
lambe chauḌe ūñche peḌ
jin kī shāḳh pe jhūle ham
kitne kushāda the ve peḌ
baaġh lagā kar dekh zarā
aaḌe tirchhe sīdhe peḌ
is tūfānī bārish meñ
jaḌ se ukhḌe kitne peḌ
Daar se bichhḌe pattoñ par
ranj kareñge būḌhe peḌ
gaañv kā mausam kaisā hai
kyā gaate haiñ naġhme peḌ
qismat meñ sahrā.ī kī
nanhe munne chhoTe peḌ
sabz-rutoñ meñ hote haiñ
piile ujḌe sūkhe peḌ
ham bhī ghar ko lauT aa.e
āñdhī se jab sahme peḌ
pichhli sadi ke buDhe peD
lambe chauDe unche peD
jin ki shaKH pe jhule hum
kitne kushada the we peD
bagh laga kar dekh zara
aaDe tirchhe sidhe peD
is tufani barish mein
jaD se ukhDe kitne peD
Dar se bichhDe patton par
ranj karenge buDhe peD
ganw ka mausam kaisa hai
kya gate hain naghme peD
qismat mein sahrai ki
nanhe munne chhoTe peD
sabz-ruton mein hote hain
pile ujDe sukhe peD
hum bhi ghar ko lauT aae
aandhi se jab sahme peD
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.