pi ke hum jam-e-sukun had se guzar to jaen
pī ke ham jām-e-sukūñ had se guzar to jaa.eñ
un ko paanā koī mushkil nahīñ mar to jaa.eñ
ye fazā-e-sahar-o-shām nikhar jā.egī
un kī zulfeñ mire hāthoñ se sañvar to jaa.eñ
chheḌte rahte haiñ hālāt ke nashtar har vaqt
varna zaḳhmoñ ke dahan aap hī bhar to jaa.eñ
naam tak shahr kā apne hameñ ab yaad nahīñ
kārvāñ raah meñ ham chhoḌ ke ghar to jaa.eñ
kaun kahtā hai ki hotī nahīñ ashkoñ kī zabāñ
log is bazm meñ bā-dīda-e-tar to jaa.eñ
duur rah kar vo mujhe yaad bhī kyoñ aate haiñ
phuul shāḳhoñ se judā ho ke bikhar to jaa.eñ
ḳhuld-e-dil ḳhuld-e-nazar duur nahīñ hai 'shādāñ'
haath apne kabhī tā-parda-e-dar to jaa.eñ
pi ke hum jam-e-sukun had se guzar to jaen
un ko pana koi mushkil nahin mar to jaen
ye faza-e-sahar-o-sham nikhar jaegi
un ki zulfen mere hathon se sanwar to jaen
chheDte rahte hain haalat ke nashtar har waqt
warna zaKHmon ke dahan aap hi bhar to jaen
nam tak shahr ka apne hamein ab yaad nahin
karwan rah mein hum chhoD ke ghar to jaen
kaun kahta hai ki hoti nahin ashkon ki zaban
log is bazm mein ba-dida-e-tar to jaen
dur rah kar wo mujhe yaad bhi kyon aate hain
phul shaKHon se juda ho ke bikhar to jaen
KHuld-e-dil KHuld-e-nazar dur nahin hai 'shadan'
hath apne kabhi ta-parda-e-dar to jaen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.