pi le jo lahu dil ka wo ishq ki masti hai
pī le jo lahū dil kā vo ishq kī mastī hai
kyā mast hai ye nāgan apne hī ko Dastī hai
mai-ḳhāne ke saa.e meñ rahne de mujhe saaqī
mai-ḳhāne ke bāhar to ik aag barastī hai
ai zulf-e-ġham-e-jānāñ tū chhāñv ghanī kar de
rah rah ke jagātā hai shāyad ġham-e-hastī hai
Dhalte haiñ yahāñ shīshe chalte haiñ yahāñ patthar
dīvāno Thahar jaao sahrā nahīñ bastī hai
jin phūloñ ke jhurmuT meñ rahte the 'shamīm' ik din
un phūloñ kī ḳhushbū ko ab ruuh tarastī hai
pi le jo lahu dil ka wo ishq ki masti hai
kya mast hai ye nagan apne hi ko Dasti hai
mai-KHane ke sae mein rahne de mujhe saqi
mai-KHane ke bahar to ek aag barasti hai
ai zulf-e-gham-e-jaanan tu chhanw ghani kar de
rah rah ke jagata hai shayad gham-e-hasti hai
Dhalte hain yahan shishe chalte hain yahan patthar
diwano Thahar jao sahra nahin basti hai
jin phulon ke jhurmuT mein rahte the 'shamim' ek din
un phulon ki KHushbu ko ab ruh tarasti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.