pi raha hun ki haqiqat ye faramosh nahin
pī rahā huuñ ki haqīqat ye farāmosh nahīñ
ahl-e-dil ke liye ik hādisa hai hosh nahīñ
nigah-o-dil se mire bach ke samā jā mujh meñ
maiñ ḳhud āġhosh huuñ merā koī āġhosh nahīñ
na haTā sāġhar-e-gul-rang laboñ se mere
tujh ko to hosh hai saaqī jo mujhe hosh nahīñ
sach to ye hai nigah-e-nāz tire sar kī qasam
miT ke bhī dil tire ehsāñ se subuk-dosh nahīñ
aaj samjhā tirī mastāna nigāhoñ ke nisār
hosh kahte haiñ jise asl meñ vo hosh nahīñ
mere āġhosh-e-mohabbat meñ na aane vaale
kyā hai duniyā agar āġhosh hī āġhosh nahīñ
kab nahīñ dil meñ mire kashmakash-e-vasl-o-firāq
kab vo āġhosh meñ begāna-e-āġhosh nahīñ
vo bhī chāheñ to judā ho nahīñ sakte 'bāsit'
dil mirā dil hai kisī aur kā āġhosh nahīñ
pi raha hun ki haqiqat ye faramosh nahin
ahl-e-dil ke liye ek hadisa hai hosh nahin
nigah-o-dil se mere bach ke sama ja mujh mein
main KHud aaghosh hun mera koi aaghosh nahin
na haTa saghar-e-gul-rang labon se mere
tujh ko to hosh hai saqi jo mujhe hosh nahin
sach to ye hai nigah-e-naz tere sar ki qasam
miT ke bhi dil tere ehsan se subuk-dosh nahin
aaj samjha teri mastana nigahon ke nisar
hosh kahte hain jise asl mein wo hosh nahin
mere aaghosh-e-mohabbat mein na aane wale
kya hai duniya agar aaghosh hi aaghosh nahin
kab nahin dil mein mere kashmakash-e-wasl-o-firaq
kab wo aaghosh mein begana-e-aghosh nahin
wo bhi chahen to juda ho nahin sakte 'basit'
dil mera dil hai kisi aur ka aaghosh nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.