pichhe pichhe sab parinde sab shajar aane lage
pīchhe pīchhe sab parinde sab shajar aane lage
jab divāne lauT kar jangal se ghar aane lage
raushnī itnī mujhe tū baḳhsh denā ai ḳhudā
jab maiñ āñkheñ band kar luuñ tū nazar aane lage
roz T v on karte haiñ ki jaane kyā pata
kab tumhāre shahr kī koī ḳhabar aane lage
raqs-e-vahshat bevafā.ī jhuuT dhokā shā'irī
'ishq ne aisā sikhāyā sab hunar aane lage
maiñ to us jaate hue ko rokne dauḌā hī thā
pīchhe pīchhe ḳhauf meñ dīvār-o-dar aane lage
pichhe pichhe sab parinde sab shajar aane lage
jab diwane lauT kar jangal se ghar aane lage
raushni itni mujhe tu baKHsh dena ai KHuda
jab main aankhen band kar lun tu nazar aane lage
roz T w on karte hain ki jaane kya pata
kab tumhaare shahr ki koi KHabar aane lage
raqs-e-wahshat bewafai jhuT dhoka sha'iri
'ishq ne aisa sikhaya sab hunar aane lage
main to us jate hue ko rokne dauDa hi tha
pichhe pichhe KHauf mein diwar-o-dar aane lage
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.