pine lage sharab bhi karne ko gham ghalat
piine lage sharāb bhī karne ko ġham ġhalat
jo baat kī 'valī' vo ḳhudā kī qasam ġhalat
fikr-e-jahāñ meñ jaan jalānā fuzūl baat
ishq-e-butāñ meñ soz-e-dil o chashm-e-nam ġhalat
kab manzil-e-sukūñ se vo ho paa.e āshnā
uTTheñ rah-e-hayāt meñ jis ke qadam ġhalat
duniyā kī bhī nazar meñ ġhalat ho vo kyā zarūr
har aisī baat jis ko samajhte hoñ ham ġhalat
sayyād ḳhud qafas ko kiyā ham ne iḳhtiyār
ham aa.e tere jaal meñ ye yak-qalam ġhalat
ujḌe chaman pe daam ko tarjīh ham ne dī
ham aa.e tere dam meñ ġhalat ek dam ġhalat
aatā nahīñ laboñ pe suḳhan ġhaur ke baġhair
muñh se hamāre baat nikaltī hai kam ġhalat
hoñToñ pe aa sakī na kabhī apne jhuuT baat
tahrīr kar sakā na hamārā qalam ġhalat
jab kuchh nahīñ ḳhudā ke sivā phir to ai hakīm
saarī ye terī bahs-e-vajūd-o-adam ġhalat
hai muqtazā-e-fitrat-e-insān tabsira
bad-niyyatī ke teht magar madh-o-zam ġhalat
saaqī kī be-ruḳhī pe 'valī' itnā shor-o-shīn
itnī zarā sī baat pe itnā udham ġhalat
pine lage sharab bhi karne ko gham ghalat
jo baat ki 'wali' wo KHuda ki qasam ghalat
fikr-e-jahan mein jaan jalana fuzul baat
ishq-e-butan mein soz-e-dil o chashm-e-nam ghalat
kab manzil-e-sukun se wo ho pae aashna
uTThen rah-e-hayat mein jis ke qadam ghalat
duniya ki bhi nazar mein ghalat ho wo kya zarur
har aisi baat jis ko samajhte hon hum ghalat
sayyaad KHud qafas ko kiya hum ne iKHtiyar
hum aae tere jal mein ye yak-qalam ghalat
ujDe chaman pe dam ko tarjih hum ne di
hum aae tere dam mein ghalat ek dam ghalat
aata nahin labon pe suKHan ghaur ke baghair
munh se hamare baat nikalti hai kam ghalat
honTon pe aa saki na kabhi apne jhuT baat
tahrir kar saka na hamara qalam ghalat
jab kuchh nahin KHuda ke siwa phir to ai hakim
sari ye teri bahs-e-wajud-o-adam ghalat
hai muqtaza-e-fitrat-e-insan tabsira
bad-niyyati ke teht magar madh-o-zam ghalat
saqi ki be-ruKHi pe 'wali' itna shor-o-shin
itni zara si baat pe itna udham ghalat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.