piri nahin chalti ki faqiri nahin chalti
piirī nahīñ chaltī ki faqīrī nahīñ chaltī
is ishq meñ har ek kī marzī nahīñ chaltī
paḌtī hai banā kar hameñ rakhnī isī ḳhātir
duniyā ke binā apnī faqīrī nahīñ chaltī
hāthoñ se gañvāte hue tujh ko yahī sochūñ
taqdīr ke aage to kisī kī nahīñ chaltī
kis vāste rakh legī bharam merā ye duniyā
maiñ jāntā huuñ merī kahīñ bhī nahīñ chaltī
duniyā se bas itnī sī shikāyat rahī ham ko
ye saath hamāre kabhī sīdhī nahīñ chaltī
piri nahin chalti ki faqiri nahin chalti
is ishq mein har ek ki marzi nahin chalti
paDti hai bana kar hamein rakhni isi KHatir
duniya ke bina apni faqiri nahin chalti
hathon se ganwate hue tujh ko yahi sochun
taqdir ke aage to kisi ki nahin chalti
kis waste rakh legi bharam mera ye duniya
main jaanta hun meri kahin bhi nahin chalti
duniya se bas itni si shikayat rahi hum ko
ye sath hamare kabhi sidhi nahin chalti
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.