pite hain mai gunah ba-qasd-e-sawab hai
piite haiñ mai gunāh ba-qasd-e-savāb hai
mastī ke valvale haiñ zamān-e-shabāb hai
ai chāragar nadāmat-e-be-jā na lījiyo
dil chaak ho chukā hai jigar aab aab hai
zāhid muaaf zabt-e-tabī.at nahīñ hameñ
sāġhar chhalak rahe haiñ havā-e-shabāb hai
bedāriyāñ haiñ dīda-e-zanjīr kī tarah
vo aañkh hai azal se jo mahrūm-e-ḳhvāb hai
ai shor-e-hashr Thahar ki fursat nahīñ hameñ
haiñ ġhaflatoñ ke josh javānī kā ḳhvāb hai
ai shaiḳh tūl-e-rīsh-e-muqaddas ghaTā.iye
had se ziyāda jo hai usī par azaab hai
ai be-ḳhabar qarīb hai fardā-e-bāz-purs
hushiyār ho ki jald zamān-e-hisāb hai
dekhā nigāh-e-ġhaur se ham ne jo ai 'nasīm'
har sher is ġhazal kā tirī intiḳhāb hai
pite hain mai gunah ba-qasd-e-sawab hai
masti ke walwale hain zaman-e-shabab hai
ai chaaragar nadamat-e-be-ja na lijiyo
dil chaak ho chuka hai jigar aab aab hai
zahid muaf zabt-e-tabiat nahin hamein
saghar chhalak rahe hain hawa-e-shabab hai
bedariyan hain dida-e-zanjir ki tarah
wo aankh hai azal se jo mahrum-e-KHwab hai
ai shor-e-hashr Thahar ki fursat nahin hamein
hain ghaflaton ke josh jawani ka KHwab hai
ai shaiKH tul-e-rish-e-muqaddas ghaTaiye
had se ziyaada jo hai usi par azab hai
ai be-KHabar qarib hai farda-e-baz-purs
hushiyar ho ki jald zaman-e-hisab hai
dekha nigah-e-ghaur se hum ne jo ai 'nasim'
har sher is ghazal ka teri intiKHab hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.