pite hain usi ja baada-e-gham maKHmur jahan se hote hain
pite hain usi ja baada-e-gham maKHmur jahan se hote hain
Wakeel Bhopali
MORE BYWakeel Bhopali
piite haiñ usī jā bāda-e-ġham maḳhmūr jahāñ se hote haiñ
rāhat bhī vahīñ se miltī hai ranjūr jahāñ se hote haiñ
is jazb-e-mohabbat ke sadqe is jazba-e-dil kā kyā kahnā
muḳhtār vahīñ ban jaate haiñ majbūr jahāñ se hote haiñ
mahsūs kuchh aisā hotā hai ġham apnā muqaddar hai shāyad
milte haiñ hazāroñ dard vahīñ masrūr jahāñ se hote haiñ
ab rasm-e-taġhāful rahne do ab paas hamāre aa jaao
ye vaqt ġhanīmat hai dekho ham duur jahāñ se hote haiñ
ye rang-e-tasavvur kyā kahiye duniyā-e-taḳhayyul jannat hai
nazdīk unheñ paatā huuñ bahut vo duur jahāñ se hote haiñ
kyā parda hai un kā parda bhī ye chāñd ye taare dekho to
din-rāt nigāhoñ meñ rah kar mastūr jahāñ se hote
dekhe to 'vakīl' aakar koī gumrāhī-e-manzil kā aalam
manzil vo bhaTaktī phirtī hai ham duur jahāñ se hote haiñ
pite hain usi ja baada-e-gham maKHmur jahan se hote hain
rahat bhi wahin se milti hai ranjur jahan se hote hain
is jazb-e-mohabbat ke sadqe is jazba-e-dil ka kya kahna
muKHtar wahin ban jate hain majbur jahan se hote hain
mahsus kuchh aisa hota hai gham apna muqaddar hai shayad
milte hain hazaron dard wahin masrur jahan se hote hain
ab rasm-e-taghaful rahne do ab pas hamare aa jao
ye waqt ghanimat hai dekho hum dur jahan se hote hain
ye rang-e-tasawwur kya kahiye duniya-e-taKHayyul jannat hai
nazdik unhen pata hun bahut wo dur jahan se hote hain
kya parda hai un ka parda bhi ye chand ye tare dekho to
din-raat nigahon mein rah kar mastur jahan se hote
dekhe to 'wakil' aakar koi gumrahi-e-manzil ka aalam
manzil wo bhaTakti phirti hai hum dur jahan se hote hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.