piTh par jis ne Tika rakkha tha ghar TuT gai
piiTh par jis ne Tikā rakkhā thā ghar TuuT ga.ī
maañ ko jaise hī milī merī ḳhabar TuuT ga.ī
jhuk ke rahnā yuuñ mohabbat meñ mirā bhārī paḌā
jab kiyā hijr ne sīdhā to kamar TuuT ga.ī
bādbāñ bāñdhne yakjā hue kashtī ke savār
bāñdhte bāñdhte ummīd magar TuuT ga.ī
qabl aane se tire shahr meñ sailāb aayā
muntazir thī jo tirī rāhguzar TuuT ga.ī
haath vo phuul jinheñ thaam ke dil sabz huā
nain vo teġh ki siine kī sipar TuuT ga.ī
kab patā thā ki shaboñ kī haiñ havā.eñ namnāk
zang khātī huī ik roz sahar TuuT ga.ī
ek ik saañs pe japnā hai koī naam 'anhad'
lekin anfās kī maalā hī agar TuuT ga.ī
shor thā aur thī paanī kī tarah choT us kī
ḳhuub mazbūt thī chup-gagrī magar TuuT ga.ī
piTh par jis ne Tika rakkha tha ghar TuT gai
man ko jaise hi mili meri KHabar TuT gai
jhuk ke rahna yun mohabbat mein mera bhaari paDa
jab kiya hijr ne sidha to kamar TuT gai
baadban bandhne yakja hue kashti ke sawar
bandhte bandhte ummid magar TuT gai
qabl aane se tere shahr mein sailab aaya
muntazir thi jo teri rahguzar TuT gai
hath wo phul jinhen tham ke dil sabz hua
nain wo tegh ki sine ki sipar TuT gai
kab pata tha ki shabon ki hain hawaen namnak
zang khati hui ek roz sahar TuT gai
ek ek sans pe japna hai koi nam 'anhad'
lekin anfas ki mala hi agar TuT gai
shor tha aur thi pani ki tarah choT us ki
KHub mazbut thi chup-gagri magar TuT gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.