pila raha hai zamin ko yahan lahu koi aur
pilā rahā hai zamīñ ko yahāñ lahū koī aur
magar haiñ phuul kisī ke hai surḳh-rū koī aur
tirī talab thī so ham daar tak chale aa.e
ab aarzū koī baaqī na justujū koī aur
ye ittifāq nahīñ hai ki qatl ho jaa.e
tirī kahānī meñ mujh sā hī hū-ba-hū koī aur
hamesha bantī huī baat ko bigāḌte haiñ
kabhī kabhī to maiñ ḳhud hī kabhū kabhū koī aur
kamāl-e-vahdat-o-kasrat maiñ roz dekhtā huuñ
ki tū hī to mire andar hai chār-sū koī aur
maiñ apne aap se ḳhud jīt.tā huuñ hārtā huuñ
nahīñ hai mere alāva mirā adū koī aur
ye shā.irī meñ hai yaktā muḳhālifat meñ vo taaq
na aur koī 'yagānā' na lucknow koī aur
jahān-e-hāsil-e-kun Thiik hai magar 'tāriq'
mujhe banānī hai duniyā-e-rañg-o-bū koī aur
pila raha hai zamin ko yahan lahu koi aur
magar hain phul kisi ke hai surKH-ru koi aur
teri talab thi so hum dar tak chale aae
ab aarzu koi baqi na justuju koi aur
ye ittifaq nahin hai ki qatl ho jae
teri kahani mein mujh sa hi hu-ba-hu koi aur
hamesha banti hui baat ko bigaDte hain
kabhi kabhi to main KHud hi kabhu kabhu koi aur
kamal-e-wahdat-o-kasrat main roz dekhta hun
ki tu hi to mere andar hai chaar-su koi aur
main apne aap se KHud jitta hun haarta hun
nahin hai mere alawa mera adu koi aur
ye shairi mein hai yakta muKHalifat mein wo taq
na aur koi 'yagana' na lucknow koi aur
jahan-e-hasil-e-kun Thik hai magar 'tariq'
mujhe banani hai duniya-e-rang-o-bu koi aur
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.