pilaya usne jab se sharbat-e-didar chuTki mein
pilāyā us ne jab se sharbat-e-dīdār chuTkī meñ
numāyāñ haiñ tabhī se ishq ke āsār chuTkī meñ
ḳhizāñ-dīda thā us se pahle merā gulshan-e-hastī
mirā bāġh-e-tamannā ho gayā gulzār chuTkī meñ
kiyā arz-e-tamannā maiñ ne jab vo hañs ke ye bole
nahīñ karte kisī se ishq kā iz.hār chuTkī meñ
tumhārī ik nigāh-e-nāz ke sadqe meñ ai jānāñ
hue haiñ ḳham na jaane kitne hī sardār chuTkī meñ
gayā vo daur jab farhād chaTTānoñ se laḌtā thā
magar ab chāhte haiñ sab ye pā leñ pyaar chuTkī meñ
namāz-o-roza kī talqīñ guzartī hai garāñ us par
magar shopping ko ho jaatī hai vo tayyār chuTkī meñ
hamāre rahnumāoñ ke ajab atvār haiñ armāñ
kabhī inkār chuTkī meñ kabhī iqrār chuTkī meñ
pilaya us ne jab se sharbat-e-didar chuTki mein
numayan hain tabhi se ishq ke aasar chuTki mein
KHizan-dida tha us se pahle mera gulshan-e-hasti
mera bagh-e-tamanna ho gaya gulzar chuTki mein
kiya arz-e-tamanna main ne jab wo hans ke ye bole
nahin karte kisi se ishq ka izhaar chuTki mein
tumhaari ek nigah-e-naz ke sadqe mein ai jaanan
hue hain KHam na jaane kitne hi sardar chuTki mein
gaya wo daur jab farhad chaTTanon se laDta tha
magar ab chahte hain sab ye pa len pyar chuTki mein
namaz-o-roza ki talqin guzarti hai garan us par
magar shopping ko ho jati hai wo tayyar chuTki mein
hamare rahnumaon ke ajab atwar hain arman
kabhi inkar chuTki mein kabhi iqrar chuTki mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.