pindar ki viran-sara mein nahin rahte
pindār kī vīrān-sarā meñ nahīñ rahte
ham ḳhaak pe rahte haiñ ḳhalā meñ nahīñ rahte
qāmat bhī hamārī hai labāda bhī hamārā
māñgī huī dastār-o-qabā meñ nahīñ rahte
ham kashmakash-e-dahr ke paale hue insān
ham girya-kunāñ karb-o-balā meñ nahīñ rahte
ḳhāshāk-e-zamāna haiñ nahīñ ḳhauf hameñ koī
āñdhī se Dareñ vo jo havā meñ nahīñ rahte
ham chhoḌ bhī dete haiñ khulā tausan-e-dil ko
thāme hue har vaqt lagāmeñ nahīñ rahte
rūhoñ meñ utar jaate haiñ tezāb kī sūrat
lafzoñ meñ ghule zahr sadā meñ nahīñ rahte
ehsās ke mausam kabhī ho jaa.eñ jo be-rang
ḳhushbū ke hunar dast-e-sabā meñ nahīñ rahte
ūñchā na uḌo apnī zarūrat se ziyāda
thak jaa.eñ parinde to fazā meñ nahīñ rahte
dastār bane jaate haiñ ab shahr-e-talab meñ
kashkol ki ab dast-e-gadā meñ nahīñ rahte
is ḳhāna-badoshī meñ ḳhudā laa.e na vo din
jab bichhḌe hue yaar du'ā meñ nahīñ rahte
pindar ki viran-sara mein nahin rahte
hum KHak pe rahte hain KHala mein nahin rahte
qamat bhi hamari hai labaada bhi hamara
mangi hui dastar-o-qaba mein nahin rahte
hum kashmakash-e-dahr ke pale hue insan
hum girya-kunan karb-o-bala mein nahin rahte
KHashak-e-zamana hain nahin KHauf hamein koi
aandhi se Daren wo jo hawa mein nahin rahte
hum chhoD bhi dete hain khula tausan-e-dil ko
thame hue har waqt lagamen nahin rahte
ruhon mein utar jate hain tezab ki surat
lafzon mein ghule zahr sada mein nahin rahte
ehsas ke mausam kabhi ho jaen jo be-rang
KHushbu ke hunar dast-e-saba mein nahin rahte
uncha na uDo apni zarurat se ziyaada
thak jaen parinde to faza mein nahin rahte
dastar bane jate hain ab shahr-e-talab mein
kashkol ki ab dast-e-gada mein nahin rahte
is KHana-badoshi mein KHuda lae na wo din
jab bichhDe hue yar du'a mein nahin rahte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.