pinjre se qafas se to kabhi jal se ubhre
piñjre se qafas se to kabhī jaal se ubhre
kis kis ko batā.eñ ki haiñ kis haal se ubhre
ham pichhlī ḳhizāoñ ke sitam-zāda shagūfe
ham aglī rutoñ meñ jo na.ī Daal se ubhre
ham koh-e-girāñ ban ke kabhī sū-e-zamīñ par
ban kar kabhī laavā hamī pātāl se ubhre
ham ahl-e-sadāqat hī rahe shaah ke munkir
darbār meñ jo maare to chaupāl se ubhre
nākām mohabbat ke haiñ ham chheḌe hue giit
sāzindoñ ke sur se to kabhī taal se ubhre
haiñ mujh se nichoḌe hue ḳhuuñ kā haiñ natīja
vo rang jo haiñ tere ḳhad-o-ḳhāl se ubhre
ham sho.abda-gar ke rahe hāthoñ meñ khilaune
āvāz pe taalī kī jo rūmāl se ubhre
pinjre se qafas se to kabhi jal se ubhre
kis kis ko bataen ki hain kis haal se ubhre
hum pichhli KHizaon ke sitam-zada shagufe
hum agli ruton mein jo nai Dal se ubhre
hum koh-e-giran ban ke kabhi su-e-zamin par
ban kar kabhi lawa hami patal se ubhre
hum ahl-e-sadaqat hi rahe shah ke munkir
darbar mein jo mare to chaupal se ubhre
nakaam mohabbat ke hain hum chheDe hue git
sazindon ke sur se to kabhi tal se ubhre
hain mujh se nichoDe hue KHun ka hain natija
wo rang jo hain tere KHad-o-KHal se ubhre
hum shoabda-gar ke rahe hathon mein khilaune
aawaz pe tali ki jo rumal se ubhre
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.