piya jin mukh tera dekha use phir kya dikhana hai
piya jin mukh tera dekha use phir kya dikhana hai
Ghulam Qadir Shah
MORE BYGhulam Qadir Shah
piyā jin mukh tirā dekhā use phir kyā dikhānā hai
chakhā jin ras tire lab kā use phir kyā chakhānā hai
huā hai dil mirā kolā birah kī aag ke bhītar
asī jartī añgārī kuuñ kaho ab kyā jarānā hai
na aaqil huuñ na dīvāna na mahram huuñ na begāna
ase behosh be-ḳhud kuuñ kaho phir kyā batānā hai
judā.ī se jare aalam jarūñ maiñ rū-ba-rū har dam
ase majnūñ divāna kuuñ kaho phir kyā satānā hai
girā kar shīsha-e-dil kuuñ lage jaur-o-jafā karne
ḳhudā se Tuk Daro zālim gire kuuñ kyā girānā hai
piyā kā dars jin paaya hoyā nādāñ na jaane kuchh
liyā jin sabq vahdat kā use phir kyā paḌhānā hai
fanā ke bahr-e-qulzum muuñ paḌā ye dil gayā guzrā
na jaage roz-e-mahshar ke use phir kyā jagānā hai
piyā jin jām-e-vahdat kā na rākhe ḳhauf suulī kā
anal-haq jab hoyā al-haq use phir kyā Darānā hai
sunūñ har jā suḳhan terā dekhūñ sab muuñ ruḳhan terā
tirā huuñ maiñ sajan terā mujhe phir kyā lubhānā hai
'ġhulām'-e-shāh-e-fāzil kā kahe dil suuñ suno yaaro
dekhā maiñ shah muhī.uddiñ mujhe phir kyā dikhānā hai
piya jin mukh tera dekha use phir kya dikhana hai
chakha jin ras tere lab ka use phir kya chakhana hai
hua hai dil mera kola birah ki aag ke bhitar
asi jarti angari kun kaho ab kya jarana hai
na aaqil hun na diwana na mahram hun na begana
ase behosh be-KHud kun kaho phir kya batana hai
judai se jare aalam jarun main ru-ba-ru har dam
ase majnun diwana kun kaho phir kya satana hai
gira kar shisha-e-dil kun lage jaur-o-jafa karne
KHuda se Tuk Daro zalim gire kun kya girana hai
piya ka dars jin paya hoya nadan na jaane kuchh
liya jin sabq wahdat ka use phir kya paDhana hai
fana ke bahr-e-qulzum mun paDa ye dil gaya guzra
na jage roz-e-mahshar ke use phir kya jagana hai
piya jin jam-e-wahdat ka na rakhe KHauf suli ka
anal-haq jab hoya al-haq use phir kya Darana hai
sunun har ja suKHan tera dekhun sab mun ruKHan tera
tera hun main sajan tera mujhe phir kya lubhana hai
'ghulam'-e-shah-e-fazil ka kahe dil sun suno yaro
dekha main shah muhiuddin mujhe phir kya dikhana hai
- Book : Ghazal Usne Chhedi (Part-1) (Pg. 239)
- Author : Farhat Ehsas
- Publication : Rekhta Books (2016)
- Edition : 2016
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.