piye jata hun saqi ki nazar se
piye jaatā huuñ saaqī kī nazar se
mujhe kyā gardish-e-shām-o-sahar se
munāsib hai ġhurūr-e-husn lekin
utar jā.egā saudā bhī ye sar se
ye kin biite dinoñ kī yaad aa.ī
ye kaise ashk Tapke chashm-e-tar se
bahut mashshāq hogā rahzanī meñ
kise thī ye tavaqqo rāhbar se
sitam Dhā kar hamāre dil pe aksar
zamāna ḳhud girā apnī nazar se
tire jalvoñ kī tābānī kā aalam
koī dekhe zarā merī nazar meñ
kisī kī mast āñkhoñ ke tasadduq
yaqīñ uThne lagā hai maut par se
tumheñ chāhūñ to kis buute pe chāhūñ
tumheñ dekhūñ to dekhūñ kis nazar se
qadam raqsāñ jahāñ aalam junūñ ne
koī tūfāñ uThe is rahguzar se
bahut bigḌe hue haiñ un ke tevar
nazar aatā hai ye un kī nazar se
bharī mahfil meñ iz.hār-e-mohabbat
ye laġhzish aur phir merī nazar se
uThā.e maut hī phir un ko 'āsī'
girā dete haiñ vo jin ko nazar se
piye jata hun saqi ki nazar se
mujhe kya gardish-e-sham-o-sahar se
munasib hai ghurur-e-husn lekin
utar jaega sauda bhi ye sar se
ye kin bite dinon ki yaad aai
ye kaise ashk Tapke chashm-e-tar se
bahut mashshaq hoga rahzani mein
kise thi ye tawaqqo rahbar se
sitam Dha kar hamare dil pe aksar
zamana KHud gira apni nazar se
tere jalwon ki tabani ka aalam
koi dekhe zara meri nazar mein
kisi ki mast aankhon ke tasadduq
yaqin uThne laga hai maut par se
tumhein chahun to kis bute pe chahun
tumhein dekhun to dekhun kis nazar se
qadam raqsan jahan aalam junun ne
koi tufan uThe is rahguzar se
bahut bigDe hue hain un ke tewar
nazar aata hai ye un ki nazar se
bhari mahfil mein izhaar-e-mohabbat
ye laghzish aur phir meri nazar se
uThae maut hi phir un ko 'asi'
gira dete hain wo jin ko nazar se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.