poras bana mujhe na sikandar bana mujhe
poras banā mujhe na sikandar banā mujhe
insāniyat kī raah kā rahbar banā mujhe
qatra sahī magar mirī pahchān bhī to ho
ye kab kahā ki maiñ ne samundar banā mujhe
dekhe vo aa.ina to nazar aa.uuñ maiñ use
us kī nigāh-e-nāz kā manzar banā mujhe
mere baġhair ghar kī koī haisiyat na ho
dīvār-o-dar kā lāzmī patthar banā mujhe
'ġhālib' kī tarh zehnoñ meñ mahfūz maiñ rahūñ
'ahd-e-ravāñ kā apne suḳhanvar banā mujhe
poras bana mujhe na sikandar bana mujhe
insaniyat ki rah ka rahbar bana mujhe
qatra sahi magar meri pahchan bhi to ho
ye kab kaha ki main ne samundar bana mujhe
dekhe wo aaina to nazar aaun main use
us ki nigah-e-naz ka manzar bana mujhe
mere baghair ghar ki koi haisiyat na ho
diwar-o-dar ka lazmi patthar bana mujhe
'ghaalib' ki tarh zehnon mein mahfuz main rahun
'ahd-e-rawan ka apne suKHanwar bana mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.